jab tumhaara zalimon se koi bhi rishta nahin kis liye tum ne shaha phir zulm ko roka nahin waqt ke badle hue rukh ne panahen chhin lin hum pas-e-diwar baithe hain magar saya nahin aasman kuchh to bata ya imtihan hai ya saza silsila zulm-o-sitam ka kis liye rukta nahin sab ne kanton hi pe chal kar pai hai manzil yahan kaamyabi ke safar mein to koi tanha nahin tajirana zehniyat le kar mila karte hain log ab kisi ka bhi kisi se be-gharaz rishta nahin phir zamane ke thapedo aao takraate hain hum main abhi tuta nahin hun main abhi bikhra nahin us se bachhda to akela ho gaya 'athar-shakil' ab kisi ke sath us ka pyar ka rishta nahin