jab us se tark-e-mulaqat ka irada kiya tab us ne daman-e-dil ko zara kushada kiya bas ek nigah se us ki sada rahe makhmur kabhi na jam uthaya na shaghl-e-baada kiya fareb de ke bhi us ka qusur kam hi raha ki hum ne us pe bharosa bhi kuchh ziyaada kiya sharafat aur najabat ka is ko gharra hai hasab nasab se siwa zikr-e-khanwada kiya jahan-e-sher-o-adab mein hamara zikr bhi hai ki hum ne 'mir' se 'ghaalib' se istifada kiya meri ghayur tabiat pe us ko hairat hai ki arz-e-shauq ka us se na phir iada kiya ye aur baat ki nakaamiyan muqaddar thin 'habab' jo bhi kiya hum ne bil-irada kiya