jab us ki zulf ke halqe mein hum asir hue shikan ke aadi hue kham ke khu-pazir hue khadang-war jo ghamze the us ke chhutpan mein par ab nazar mein jo aae to rashk-e-tir hue jhidak diya hamein kuche mein us ne har-dam dekh hum apne dil mein kuchh us dam khajil kasir hue jo gah gah adhar jate hum to rahti qadr ghadi ghadi jo gae is sabab haqir hue nigah ke ladte hi hans kar kaha 'nazir' us ne ye baaten chhod do kuchh samjho ab to pir hue