jab us ko soch ke dekha to ye kamal hua meri lughat ka har ek lafz be-misal hua wo shahr-e-khwab se guzra to dafatan mujh ko haqiqaton ke badalne ka ehtimal hua numud-e-zat ko pahle hi raushni kam thi badhe jo sae to kuchh aur bhi malal hua thama na girne sambhalne ka silsila yun hi main apni khak se uttha to la-zawal hua ye moajiza hi bahut hai ki paikar-e-fan ke jo koi rabt mein aaya wo ham-khayal hua hum apni sada-mizaji mein sab se puchhte hain hamare jaisa bhi aakhir kisi ka haal hua hamin the us ke jawabon ke muntazir 'rahat' so bar bar hamin se koi sawal hua