jab wo na-mehrban nahin hota aasman aasman nahin hota hum zamane se kya umid karen tu hi jab mehrban nahin hota kahan aaram dhundne jaen kis jagah aasman nahin hota meri nazron se dur rah kar bhi wo nazar se nihan nahin hota uzr ab kyun hai mujh se milne mein main tere darmiyan nahin hota us ko nazren bayan karti hain jo zaban se bayan nahin hota dard ka kya subut pesh karun us ka koi nishan nahin hota dair-o-kaba mein dhundne walo us ka jalwa kahan nahin hota lakh aaram hon qafas mein magar phir bhi wo aashiyan nahin hota imtihan-e-wafa se badh ke 'jigar' koi bhi imtihan nahin hota