jabin-e-nawaz kisi ki fusun-gari kyun hai sarisht-e-husn mein is darja dilkashi kyun hai kisi ki sada jabin kyun bani hai sehr-taraaz kisi ki baat mein ejaz-e-iswi kyun hai kisi ki zulf-e-moambar mein kyun hai girai fida-e-gesu-e-mushken ye zindagi kyun hai tere shiar-e-taghaful pe zindagi qurban tere shiar-e-taghaful mein dilkashi kyun hai kahin ziya-e-tabassum na ho karam-farma jumud-e-qalb mein haijaan-e-zindagi kyun hai ye kab kaha hai ki tum wajh-e-shorish-e-dil ho ye puchhta hun ki dil mein ye bekali kyun hai nigah-e-naz ki wabasta-e-jigar thi kabhi bata fareb-e-tamanna ki sarsari kyun hai bhatak bhatak ke main nakaam-e-justuju hi raha khamosh mere liye sham-e-rahbari kyun hai hayat-o-maut na apni na main hi khud apna mere wajud pe ilzam-e-zindagi kyun hai rag-e-hayat mein dauda ke barq-e-sartabi khata-muaf ye ilzam-e-khud-sari kyun hai bisat-e-dahr sahi jalwa-gah-e-husn-e-azal nigah-e-shauq fughan-sanj-e-tishnagi kyun hai