jadon se sukhta tanha shajar hai mere andar bhi ek pyasa shajar hai hazaron aandhiyan jheli hain us ne zamin thame hue budha shajar hai pujari jal chadha kar ja rahe hain nagar mein dukh ke sukh-data shajar hai musafir aur parinde jaante hain ki in ke waste kya kya shajar hai jo ho fursat to us ke pas baitho qalandar hai wali baba shajar hai zamin par pyar to zinda hai is se hum insanon se to achchha shajar hai hamare shahr mein 'akmal' abhi tak mohabbat bantne wala shajar hai