jahan-dar pe war chalne laga ghulamon ka darbar chalne laga azal se kisi shai mein gardish na thi chala main to sansar chalne laga khuda rakkhe america-o-rus ko miyan apna akhbar chalne laga tabassum takallum jawan ho gae mubarak ho ghar-bar chalne laga abhi dhup 'khalid' pe aai na thi ki diwar diwar chalne laga