jahan mein jins-e-wafa kam hai kal-adam to nahin hamare hausla-e-dil ko ye bhi kam to nahin hum ek sans mein pi jaen jam-e-jam to nahin sarishk-e-gham hain piyenge par ek dam to nahin tumhaare qahr ki khatir akele hum to nahin nigah-e-mehr bhi dalo tumhein qasam to nahin khuda ka ghar hai mera dil yahan sanam to nahin ye mai-kada to nahin hai ye kuchh haram to nahin mere ghamon ka tujhe kya lagega andaza ki tujh ko apne hi gham hain parae gham to nahin mere khayal mein pechidgi sahi lekin tumhaari zulfon ki manind pech-o-kham to nahin junun nahin hamein pichhe lagen jo duniya ke khuda ke bande hain hum banda-e-shikam to nahin hazar kaif bahisht-e-barin mein hain lekin dil apna jis ka hai khugar wo kaif-e-gham to nahin lagegi der sambhalne mein laghzish0-e-dil se sambhal khade hon nazar laghzish-e-qadam to nahin