jahan mein jo kai gul-badan khush-nayan hai bahut ji ko pyara hai aur man-haran hai ye sab khubiyan tujh mein haingi pari-ru tu hi man-haran hai tu hi chit lagan hai diwana hun us dam ki jis dam kahen hain shakar-lab bhi kya khub shirin bachan hai zara pyar se jis se tu hans ke bole to be-shak use baadshahi khutan hai tajalla tera jin ne tuk dekh paya wali hai wo phir aur falatun-zaman hai tere aawne ki khabar sun ke pyare khada muntazir sara nargis-chaman hai bhala tujh ko duniya mein koi kyun ki pawe na ghar kahin tera kahin na watan hai hai sab mein mila aur sab se nirala ajab teri qudarat ajab tera fan hai tu ab khwah nazdik ya dur hi rah teri yaad ji mein mere raat-din hai ghanimat hai mujh ko buzurgi ye itni main talib hun tera aur tu jaan-e-man hai karam ki nazar se zara dekh idhar tera 'nain' aajiz hai rangin-sukhan hai