jahan qatre ko tarsaya gaya hun wahin duba hua paya gaya hun ba-haal-e-gumrahi paya gaya hun haram se dair mein laya gaya hun bala kafi na thi ek zindagi ki dobara yaad farmaya gaya hun ba-rang-e-lala-e-virana bekar khilaya aur murjhaya gaya hun agarche abr-e-gauhar-bar hun main magar aankhon se barsaya gaya hun supurd-e-khak hi karna tha mujh ko to phir kahe ko nahlaya gaya hun farishte ko na main shaitan samjha natija ye ki bahkaya gaya hun koi sanat nahin mujh mein to phir kyun numaish-gah mein laya gaya hun ba-qaul-e-barhaman qahr-e-khuda hun buton ke husn par dhaya gaya hun mujhe to is khabar ne kho diya hai suna hai main kahin paya gaya hun 'hafiz' ahl-e-zaban kab mante the bade zoron se manwaya gaya hun
Please share if you liked this!!!