jaise hi chashm-e-rawaq se gir gaya jagmagata diya taq se gir gaya ek laghzish se donon hi ruswa hue wo nazar se main aafaq se gir gaya sher kahne ko likkha tha main ne abhi ek mazmun auraq se gir gaya us ki nazron se main kya gira ek bar yun laga jaise aafaq se gir gaya ek beta takabbur ke aakash se bap ke lafz ek aaq se gir gaya tirgi jab na mit pai sukha diya timtimata hua taq se gir gaya tamkanat ke sabab ek amir-ul-muluk yaad rakh chashm-e-khallaq se gir gaya