jaise pardes mein raaton ko watan khinchta hai yun tere dasht-nawardon ko chaman khinchta hai kis ki aahen yun sar-e-dasht-e-talab gunjti hain kaun viran manazir se thakan khinchta hai harf aa aa ke bajate hain mera darwaza sher ho ho ke mere dil ki ghutan khinchta hai bojh dhona hai bahar-taur ho jaise-taise warna yun kaun ba-sad-shauq badan khinchta hai ek hijrat hai ki taswir hui jati hai ek qissa hai su-e-bagh-e-adan khinchta hai zist ek ahd ke dhage se bandhi chalti hai qabr har roz bulati hai kafan khinchta hai