jale charagh bujhane ki zid nahin karte ab aa gae ho to jaane ki zid nahin karte kisi ki aankh mein aansu hamein pasand nahin dilon ke zakhm dikhane ki zid nahin karte tumhaare nam ka bhi zikr ho na jae kahin ghazal ke sher sunane ki zid nahin karte hamare sae bhi raste mein chhod jate hai hamara sath nibhane ki zid nahin karte khala mein koi imarat kabhi nahin tikti wahan makan banane ki zid nahin karte ye shahr-e-sang hai patthar ke log rahte hain yahan pe phol khilane ki zid nahin karte zamin jaisa kahin chand bhi na ho jae zamin pe chand ko lane ki zid nahin karte