jalwa dikhlati hai wahshat gardish-e-taqdir ka shola-e-jawwala halqa hai meri zanjir ka kaam mani se nahin surat-parasti ke siwa khat-e-rukhsar-e-butan khat hai meri taqdir ka ishq mein had na-tawan hun mani-o-bahzad se uth nahin sakta kabhu khaka meri taswir ka 'faiz' wasf-e-mushaf-e-rukhsar mein yan tak hun mahw hai mere diwan par dhoka mujhe tafsir ka