jalwa-e-mehr-o-mah kya sham-o-sahar mein kuchh nahin

jalwa-e-mehr-o-mah kya sham-o-sahar mein kuchh nahin
ab teri yaad ke siwa meri nazar mein kuchh nahin

pahli nigah ishq ki karni hai sehr-e-husn par
ek hi bar dekhiye bar-e-digar mein kuchh nahin

ab main hun us maqam par ranj-o-khushi jahan hain ek
sham-e-alam ka zikr kya nur-e-sahar mein kuchh nahin

tu hi nahin jo ham-kanar phul kahan kahan bahaar
ab ye jahan-e-lala-zar meri nazar mein kuchh nahin

ye tera husn-e-arzi ye teri shan-e-be-rukhi
teri nazar mein kuchh sahi meri nazar mein kuchh nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close