jalwa-e-sham hai ye subh ka manzar to nahin chand kaisa bhi ho suraj ke barabar to nahin qaht-e-shamshad-e-qadan wajh-e-sar-afraazi hai warna sarkar kuchh aise bhi qad-awar to nahin ism-e-azam koi phunke to ye jadu tute but bane sehr se ham-sang ke paikar to nahin kaam aaegi sarw-o-sang ki nisbat warna dar-numa naqsh hain diwar pe ye dar to nahin jazba-e-shauqat-e-tamir bana marqad-e-shauq is nae shahr ke ye taj-mahal ghar to nahin