jalwa tera is tarah se nakaam na hota

jalwa tera is tarah se nakaam na hota
hum tur pe hote to ye anjam na hota

sunta main kahan waiz-e-nadan ki nasihat
gar waz-o-nasihat mein tera nam na hota

ghunche ki chatak dil ki tahon mein na utarti
is mein jo nahufta tera paigham na hota

ye rizq ki hai kor-nigahi ki nahin baat
dana bhi na hota jo kahin dam na hota

katta bhala kyunkar shab-e-furqat ka andhera
palkon pe charaghan jo sar-e-sham na hota

'azad' nasheman se qafas mein jo na aate
is waqt jo hasil hai wo aaram na hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close