jalwe dikhae yar ne apni harim-e-naz mein

By anwar-saharanpuriOctober 25, 2020
jalwe dikhae yar ne apni harim-e-naz mein
sajde chamak chamak uthe mere sar-e-niyaz mein
jalwa-e-did mein teri shola-e-tur tha nihan
aag si aur lag gai mere dil-e-gudaz mein


shauq ne khich li mere yar ki jab naqab-e-rukh
husn ki raushni hui jalwa-gah-e-majaz mein
ishq ki be-hijabiyan husn ki parda-dariyan
hone lagi talashiyan naz mein aur niyaz mein


dil mein liya adaon ne sabr-o-qarar bhi liya
lut gaya ghar bhara hua jumbish-e-chashm-e-naz mein
meri nazar ke milte hi un ki nigah jhuk gai
dil ko jawab mil gaya chashm-e-fusun-taraaz mein


sehr wo hi kashish wo hi masti-o-be-khudi wo hi
teri nazar sama gai nargis-e-nim-baz mein
panw figar mein to hon dil to nahin figar-e-gham
koi sanam nahin na ho dasht-e-junun-nawaz mein


jalwa-e-yar dekh kar tur pe ghash hue kalim
aql-o-khirad ka kaam kya mahfil-e-husn-o-naz mein
kar le khuda ki bandagi 'anwar'-e-khasta-dil zara
bhul na apne rab ko tu nafs ki hirs-o-az mein


11533 viewsghazalEnglish