jalwe ko parda parde ko jalwa bana diya ahl-e-nazar ko tum ne tamasha bana diya zarre ko mahr qatre ko dariya bana diya teri nazar ne kya se hamein kya bana diya haq ne tumhein bada hamein chhota bana diya jo kuchh bana diya bahut achchha bana diya kya puchhte ho hum ne tumhein kya bana diya ruh-e-hayat jaan-e-tamanna bana diya sarmasti-e-bahaar ka aalam na puchhiye har gul ki us ne saghar-o-sahba bana diya duniya hamare waste dozakh se kam na thi duniya ko tere ishq ne duniya bana diya is dil ka haal puchh rahe hain wo bar-bar jis dil ko be-niyaz-e-tamanna bana diya dekhen lahu se bharta hai ab is mein rang kaun hum ne nai bahaar ka naqsha bana diya jab koi aankh tera nazzara na kar saki jaisa kisi k zehn mein aaya bana diya 'sarshaar' un k gham ka ye ehsan bhi khub hai duniya ko gham-gusar hamara bana diya