jam to jam mai-e-hosh-ruba bhi badli sath hi rindon ke pine ki ada bhi badli fasl-e-gul badli saba badli faza bhi badli aap badle to gulistan ki hawa bhi badli tut jaega yaqinan dil-e-mai-khwar agar nigah-e-saqi-e-mai-khana zara bhi badli bazm-e-yaran mein sada se mujhe pahchanta kaun mere haalat jo badle to sada bhi badli aaj tak us ne to wada koi ifa na kiya jaane kya soch ke phir shart-e-wafa bhi badli hone lagta hai kuchh ehsas shikast-e-tauba baada-khane pe agar chhai zara bhi badli waqt ke sath badal jati hai har shai 'ajiz' aap to badle magar khu-e-jafa bhi badli