jashn-e-hayat ho chuka jashn-e-mamat aur hai ek baraat aa chuki ek baraat aur hai ishq ki ek zaban par lakh tarah ki bandishen aap to jo kahen baja aap ki baat aur hai pine ko is jahan mein kaun si mai nahin magar ishq jo bantta hai wo aab-e-hayat aur hai zulmat-e-waqt se kaho hasrat-e-dil nikal le zulmat-e-waqt ke liye aaj ki raat aur hai un ko 'shamim' kis tarah nama-e-arzu likhen likhne ki baat aur hai kahne ki baat aur hai