jazb-e-ulfat ne dikhaya asar apna ulTa

jazb-e-ulfat ne dikhaya asar apna ulta
aah jab honthon par aai to kaleja ulta

raat-bhar baithe rahe muntazari mein us ki
subh jab ho gai hasrat se bichhauna ulta

haq-ba-jaanib hai agar hum se wo mahwash phir jae
chalan aflak ka aundha hai zamana ulta

ja-e-hairat hai jo nafrat na ho khud-bini se
nazar aata hai is aaine mein chehra ulta

zinat-e-rang-e-baqa chahte hain naqsh-e-fana
us muraqqe ka dikhai diya naqsha ulta

malgaji chadar-e-mahtab nazar aane lagi
us ne chehre se jo sote mein dupatta ulta

ab to yaron se bhi yari ki tawaqqoa na rahi
haal-pursi ke ewaz karte hain shikwa ulta

qufl darwaze mein kyun aaj nazar aata hai
kaun jhanka tumhein kis shakhs ne parda ulta

mar gaya main jo mujhe pyar se mara us ne
sidhi talwar hua us ka tamancha ulta

mai-kada chhod ke kyun khum mein falatun baitha
aisi hi aql ne yunan ka takhta ulta

maraz-e-ishq mein aaram kisi taur nahin
kabhi sidha jo dam aaya to kaleja ulta

phir ulat kar na khabar li hue aise ghafil
ab to aao ki main dam leta hun ulta ulta

na to wo phul na kaliyan na wo sabza na bahaar
rut ki phirti hai chaman-zar ka takhta ulta

ek jalwa to bhala aur bhi waqt-e-rukhsat
bahr-e-gul baad-e-bahaari koi jhonka ulta

'bahr' kya kucha-e-jaanan se phire ghar ki taraf
kabhi dekha nahin bahte hue dariya ulta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close