jazba-e-shauq ka izhaar karun ya na karun dil ko ruswa sar-e-bazar karun ya na karun dard khud badh ke hua jata hai darman dil ka ab ilaj-e-dil-e-bimar karun ya na karun qais-o-mansur ki taqlid se dam ghutta hai ehtimam-e-rasan-o-dar karun ya na karun jis ko khuddari-e-jazbaat ka ehsas na ho nazr us ko dil-e-khuddar karun ya na karun us ki ruswai ka bais na hon meri ghazlen nazr-e-ahbab ye shahkar karun ya na karun le na angdai kahin gardish-e-ayyam 'umar' husn-e-khwabida ko bedar karun ya na karun