jhilmilate hue aansu bhi ajab hote hain sham-e-furqat ke ye jugnu bhi ajab hote hain ye ada husn ki hum kyun nazar-andaz karen us ke bikhre hue gesu bhi ajab hote hain qatl ho koi to kanp uthti hai sari duniya dard-e-insan ke ye pahlu bhi ajab hote hain kis ko git apne sunate hain wahan kya kahiye naghma-khwanan-e-lab-e-ju bhi ajab hote hain is kharabi se to mamur hai sara aalam ye fasadat-e-man-o-tu bhi ajab hote hain walwale dil ke na malum kidhar le jaen kashti-e-dil ke ye chappu bhi ajab hote hain bhaiyon ke sitam o jaur ko kya tum se kahun 'ramz' ye quwwat-e-bazu bhi ajab hote hain