jhulasti dhup mein thandi hawa ka jhonka bhej chaman se jaanib-e-sahra bhi koi tohfa bhej mujhe taghayyur-e-mausam ka kuchh yaqin dila agar tasalsul-e-baran nahin to qatra bhej bahut dinon se mujhe tere khwab aate hain koi payam koi khair ka sandesa bhej kabhi meri bhi samaat pe koi naghma likh mere bhi ghar ke shajar par koi parinda bhej hamare sahn mein shakhon ke hath khali hain bahaar un ke liye motiye ka gajra bhej khala ke gumbad-e-be-dar mein koi rauzan kar khuda-e-nur falak par koi sitara bhej har ek faqir pe bab-e-karam nahin khulta 'rauf' amir dar-e-nim-wa se kasa bhej