jhum ke saghar kaun uthae kis ko padi maikhane ki saqi ko bhi hosh nahin hai qismat hai paimane ki gulshan gulshan yun phirti hai chaak-gareban phul ki khushbu jaise saba ne phaila di ho baat kisi diwane ki diwane-pan ki ghati mein aql ka suraj dub chala shahr-e-takhayyul par chhai hai sham kisi virane ki sare sahaare chhut chale hain subh ka tara dub chala phir bhi tamanna soch rahi hai baat kisi ke aane ki zinda rah kar hi pahunchega pyar ka naghma galiyon galiyon baat adhuri rah jati hai jal-bhun kar parwane ki bedardon ke daur mein hai 'jumbish' khun-e-tamanna hone do koi na koi aansu surkhi de dega afsane ki