ji kar kabhi mare kabhi mar kar jiya kiye

ji kar kabhi mare kabhi mar kar jiya kiye
kya kahiye hijr-e-yar mein kya kya kiya kiye

baitha hun phir tasawwur-e-zulf-e-duta kiye
dil ko asir-e-halqa-e-dam-e-bala kiye

main kya hun meri koshish-e-nakaam kya mila
bigde hue tere hi karam se bana kiye

wo rah tere wahshi ne tai kar liye tamam
jin mein janab-e-khizr bhatakte phira kiye

us ne meri ummid ke daman ko bhar diya
main ne kabhi daraaz jo dast-e-dua kiye

allah re khud-numai-e-husn-e-fareb-kar
aaina dekh dekh wo hairan hua kiye

tirchhi nazar ko phir bhi raha pas-e-ehtiyat
tiron ne par nishane na hargiz khata kiye

kashti ko 'nur' bahr-e-hawadis mein dal kar
baitha hai na-khuda bhi supurd-e-khuda kiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close