jin khwabon se nind ud jae aise khwab sajae kaun ek pal jhuti taskin pa kar sari raat ganwae kaun ye tanhai ye sannata dil ko magar samjhae kaun itni bhayanak raat mein aakhir milne wala aae kaun sunte hain ki in rahon mein majnun aur farhad lute lekin ab aadhe raste se laut ke wapas jae kaun sunte samajhte hon to un se koi apni baat kahe gungon aur bahron ke aage dhol bajaane jae kaun us mahfil mein log hain jitne sab ko apna rona hai 'tabish' main khamosh-tabiat mera haal sunae kaun