jinhen safar ke liye hausla nahin milta hujum mein bhi unhen rasta nahin milta bura na man agar dekhne laga hun tujhe main kya karun ki mujhe aaina nahin milta lagi hui hai yunhi dil ko hirs duniya ki wagarna un se jo mangun to kya nahin milta main apne ghar se nikal kar kahan chala aaya ki shahr bhar mein koi aashna nahin milta azab-e-jaan bana hai ye shor-e-shahr-e-fishaar sukun ke waste ab mai-kada nahin milta main kya kahun ki hawa hi khilaf hai mere palat ke aaun to dar bhi khula nahin milta kahin se raushni la do wagarna ab 'khalid' wo ghar jalaenge jin ko diya nahin milta