jinko kuchh manzur rab ki dosti se kam nahin

jin ko kuchh manzur rab ki dosti se kam nahin
maut bhi un ke liye to zindagi se kam nahin

ek ye bhi hai ibaadat ka tariqa dosto
khidmat-e-khalq-e-khuda bhi bandagi se kam nahin

phir khayal aata hai nakhwat hai khuda ko na-pasand
ji mein aata to hai kah den hum kisi se kam nahin

sulh ka kyon rasta karte nahin tum ikhtiyar
dushmanon jab hone wali dushmani se kam nahin

jis ko hasil ho gai wo sahab-e-tauqir hai
tere dar ki naukri bhi afsari se kam nahin

man ja sham-e-mohabbat ko bujha mat man ja
ye ujala surajon ki raushni se kam nahin

sher kahna shauq hai pesha nahin mera 'kamal'
ishq waise to mujhe bhi shairi se kam nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close