jis gham se dil ko rahat ho us gham ka mudawa kya mani jab fitrat tufani thahri sahil ki tamanna kya mani ishrat mein ranj ki aamezish rahat mein alam ki aalaish jab duniya aisi duniya hai phir duniya duniya kya mani khud shaikh-o-barahman mujrim hain ek kaam se donon pi na sake saqi ki bukhl-pasandi par saqi ka shikwa kya mani jalwon ka to ye dastur nahin pardon se kabhi bahar aaen ai dida-e-be-taufiq tera ye zauq-e-tamasha kya mani ikhlas-o-wafa ke sajdon ki jis dar par dad nahin milti ai ghairat-e-dil ai azm-e-khudi us dar par sajda kya mani ai sahib-e-naqd-o-nazar mana insan ka nizam nahin achchha is ki islah ke parde mein allah se jhagda kya mani har-lahza fuzun ho josh-e-amal ye farz hai farz ki rah pe chal tadbir ka ye rona kaisa taqdir ka shikwa kya mani maikhane mein tu ai waiz ab talqin ke kuchh uslub badal allah ka banda banne ko jannat ka sahaara kya mani izhaar-e-wafa lazim hi sahi ai 'arsh' magar fariyaaden kyun wo baat jo sab par zahir hai us baat ka charcha kya mani