jis ko jitna hosh hai itna hi wo diwana hai kya kahen diwana-pan hi hosh ka paimana hai jis ke dil mein imtiyaz-e-kaba-o-but-khana hai manzilon dur us se rah-e-manzil-e-jaanana hai dahr mein laila-e-azadi ka jo diwana hai us ka har naqsh-e-qadam mere liye but-khana hai is jahan ki baat ho ya us jahan ki baat ho ye bhi qissa hai tera wo bhi tera afsana hai is ko daulat ka nasha hai us ko izzat ka khumar har koi madhosh hai duniya bhi kya mai-khana hai chashm-e-haq-bin kah rahi hai ye zaban-e-haal se khwab hai duniya kisi ka ya koi afsana hai zarra zarra mein nazar aata hai jis ko husn-e-dost wo jahan mein be-niyaz-e-kaba-o-but-khana hai jis mein jitni hai sharafat us qadar jhukta hai wo inkisari dar-haqiqat zarf ka paimana hai dil sahi lekin wo dil koi dilon mein dil nahin dard se na-ashna ulfat se jo begana hai be-sabaati-e-jahan par kaun karta hai yaqin hum samajh kar bhi na ye samjhe ki ye afsana hai aa rahi hain dil se ghafil ye sadaen dam-ba-dam daulat-e-duniya ke pichhe kis liye diwana hai aabru jae watan ki aur tum dekha karo kya yahi ai nau-jawano himmat-e-mardana hai jis ka mazhab ban gaya ho khidmat-e-khalq-e-khuda us ko 'sufi' is se kya ye khwesh ye begana hai kaif tari hai dimagh-o-dil pe us ke kis qadar jam-o-hiddat pi ke 'sufi' kis qadar mastana hai