jise kali raat na Das sake jise aasman na Dara sake

jise kali raat na das sake jise aasman na dara sake
koi aisi shama jalaiye jo hawa se aankh mila sake

main nai sahar ka naqib hun mujhe fikr-e-naf-o-zarar nahin
mere sath mahw-e-safar wo ho jo ajal ke saz pe ga sake

mere dast ko wo hunar ata ho tere dayar-e-kamal se
jo dilon mein azm jaga sake jo nazar mein phul khila sake

tu khayal-o-fikr se mawara tu sarapa raaz hi raaz hai
teri khoj mein jo sada rahe teri gard ko bhi na pa sake

wo hamin the jo tere nam par sar-e-dar hans ke guzar gae
kisi falsafi se na ban pada na faqih-e-waqt hi ja sake

tere mai-kade ka ajib rasm-o-riwaj hai mere saqiya
koi rind jam lapak sake na sharab munh se laga sake

ye qaza-o-qadr ka khel hai kahin dhup hai kahin chhanw hai
jise tum ne chaha wo mil gaya jise hum ne chaha na pa sake

mere un ke bich thin duriyan ai 'niyaz' kaisi khabar nahin
mujhe apne pas bula sake na gharib-khane tak aa sake


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close