jo aankhon ke taqaze hain wo nazzare banata hun andheri raat hai kaghaz pe main tare banata hun mohalle wale mere kar-e-be-masraf pe hanste hain main bachchon ke liye galiyon mein ghubbare banata hun wo lori gaengi aur un mein bachchon ko sulaengi main maon ke liye phulon ke gahware banata hun faza-e-nil-gun mein hasrat-e-parwaz to dekho main udne ke liye kaghaz ke tayyare banata hun mujhe rangon se apne hairaten takhliq karni hain kabhi titli kabhi jugnu kabhi tare banata hun zamin yakh-basta ho jati hai jab jadon ki raaton mein main apne dil ko sulgata hun angare banata hun tera dast-e-hinai dekh kar mujh ko khayal aaya main apne khun se lafzon ke gul-pare banata hun mujhe ek kaam aata hai ye lafzon ke banane ka kabhi mithe banata hun kabhi khaare banata hun bulandi ki talab hai aur andar intishaar itna so apne shahr ki sadkon pe fawware banata hun