jo apni hai wo khak-e-dil-nashin hi kaam aaegi giroge aasman se jab zamin hi kaam aaegi yahan se mat utha bistar ki is saffak aandhi mein ye tuti phuti diwar-e-yaqin hi kaam aaegi utha rakkha tha sahra sar pe tum ne kaun manega jhatakna mat ki ye gard-e-jabin hi kaam aaegi wo din aaega jab sare samundar sukh jaenge miyan andar ki ju-e-atashin hi kaam aaegi koi aankhon ke shole ponchhne wala nahin hoga 'zafar' sahab ye gili aastin hi kaam aaegi