jo bahar-e-watan marne ko tayyar nahin hai jine ka kisi taur wo haqdar nahin hai kya faeda is shikwa-o-faryaad-o-fughan se sunne ko jise koi bhi tayyar nahin hai waiz se kaho ja ke kare waz kahin aur koi bhi to is bazm mein hushiyar nahin hai karni hai bapa phir mujhe ek shorish-e-dauran ai dosto nala mera be-kar nahin hai jis ja pe basen ghairat-e-milli ke muhafiz jannat hai wo zindan ki diwar nahin hai bhadkenge abhi aur bhi jazbaat ke shoale aatish ye tah-e-khak hai bedar nahin hai 'bismil' ne ishaaron mein kahi dil ki kahani bharpur jawani ki ye guftar nahin hai