jo bhi mil jata hai ghar-bar ko de deta hun

By akhtar-nazmiOctober 24, 2020
jo bhi mil jata hai ghar-bar ko de deta hun
ya kisi aur talabgar ko de deta hun
dhup ko deta hun tan apna jhulasne ke liye
aur saya kisi diwar ko de deta hun


jo dua apne liye mangni hoti hai mujhe
wo dua bhi kisi gham-khwar ko de deta hun
mutmain ab bhi agar koi nahin hai na sahi
haq to main pahle hi haqdar ko de deta hun


jab bhi likhta hun main afsana yahi hota hai
apna sab kuchh kisi kirdar ko de deta hun
khud ko kar deta hun kaghaz ke hawale aksar
apna chehra kabhi akhbar ko deta hun


meri dukan ki chizen nahin bikti 'nazmi'
itni tafsil kharidar ko de deta hun
92399 viewsghazalEnglish