jo bhi minjumla-e-ashufta sara hota hai

jo bhi minjumla-e-ashufta sara hota hai
zinat-e-mahfil-e-sahab-nazran hota hai

yahi dil jis ko shikayat hai giran-jaani ki
yahi dil kar-gah-e-shisha-giran hota hai

shakh-e-gulzar ke sae mein kahan dam lije
ki yahan khun ka sail-e-guzaran hota hai

kis ko dikhlaiye apnon ki malamat ka saman
ki ye uslub hadis-e-digran hota hai

kis ko batlaiye wo rabta-e-naz-o-niyaz
un ki mahfil mein jo ai dida-waran hota hai

kabhi karti hai tajalli nigarani dil ki
kabhi dil su-e-tajalli-nigaran hota hai

mujh pe hote hain gham-e-dil ke sahife nazil
jin mein afsana-e-ali-guharan hota hai

dil bhi deta hai mujhe mashwara-e-tark-e-wafa
kuchh taqaza-e-jahan-e-guzaran hota hai

main to hun shefta-e-rang-e-taghazzul 'abid'
ki yahi shahid-e-khunin-jigraan hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close