jo dil nahin rakhta koi mushkil nahin rakhta mushkil nahin rakhta koi jo dil nahin rakhta khinche liye jata hai kahin shauq-e-shahadat dam lene ki tab ab dil-e-bismil nahin rakhta hon reg ke manind shab-o-roz safar mein aawara-e-wahshat koi manzil nahin rakhta majbur hun kya zor chale josh-e-junun se zanjir koi panw ke qabil nahin rakhta kabe se ho ya der se manzil pe pahunch jaun ek dhun hai tamiz-e-haq-o-baatil nahin rakhta mai-khane ko dekhe koi in aankhon se ghafil ek nur ka dariya hai ki sahil nahin rakhta kausar bhi khinch aae to ye niyyat nahin bharti dariya-e-hawas wo hai ki sahil nahin rakhta aaya na koi khwab mein bhi mulk-e-adam se afsos ki itni bhi kashish-e-dil nahin rakhta laila ko bhala dekhega kin aankhon se majnun jab taqat-e-nazzara-e-mahamil nahin rakhta kyun 'yas' qafas mein bhi wahi zamzama-sanji aisa to zamane mein koi dil nahin rakhta