jo dur se hamein akasr KHuda sa lagta hai

jo dur se hamein akasr khuda sa lagta hai
wahi qarib se kuchh aashna sa lagta hai

kabhi hamari nigahon se dekh le us ko
phir us ke baad bata tujh ko kaisa lagta hai

tamam raat jale din ko sard-mehr bane
badan ka shahr bhi shahr-e-ana sa lagta hai

wo us ki sahmi si chahat jafa ki chilman mein
wo bewafa bhi hamein ba-wafa sa lagta hai

bikharte tutte in zist ke makanon mein
wo ek makan hamein khushnuma sa lagta hai

salib-o-dar pe chadh kar hue hain la-fani
ye dast-e-marg bhi dast-e-dua sa lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close