jo gaya bahr-e-taghaful mein bhanwar tak pahuncha dub kar ilm ke dariya mein guhar tak pahuncha ye jahan ek mukafat-e-amal hai jis ne jad ko sincha wahi phaldar shajar tak pahuncha kar ke barbaad zamin hazrat-e-insan dekho ab sukunat ke liye arz-e-qamar tak pahuncha pas aati na 'ana' tere kahan jati jab us ka har rasta teri rahguzar tak pahuncha