jo ho sake to kabhi itni mehrbani kar uda ke khak meri mujh ko aasmani kar phir us ke baad khuda jaane kab mayassar hon ye chand lamhe mohabbat ke jawedani kar ba-zor-e-tegh hukumat kiya nahin karte jo ho sake to dilon par bhi hukmarani kar ai raushni ke payambar ki ai naqib-e-nur lahu se apne charaghon ki pasbani kar main aaina hun na utre kahin tera chehra na apne aap pe itra na lan-tarani kar main chal pada hun qadam se qadam mila mere rafaqaton ke safar mein na aana-kani kar hamare lams se padti hai jaan murdon mein hamare hath pe baiat ai zindagani kar na maslahat ki taraazu mein taul lafzon ko jo dil kahe wahi honton se tarjumani kar na yaad kar unhen aasif wo pal jo bit gae yahin pe dard-bhari khatm wo kahani kar