jo is zamin se kabhi phir numu karunga main to chehra chehra teri justuju karunga main hun dard-mand tumhaara magar ye mat socho jo tum kahoge wahi mu-ba-mu karunga main meri wafa mein kuchh apni gharaz bhi shamil hai so apne zakhm ko pahle rafu karunga main jo mujh ko dekhega fauran pukar utthega ki ikhtiyar tumhein hu-ba-hu karunga main agar jahan mein koi aaina nahin tera to phir tujhi ko tere ru-ba-ru karunga main ye zindagi to sari-uzzawal hai 'najmi' dil apna is ke liye kyun lahu karunga main