jo ishq mein guzara lamha pasand aaya aankhon mein bas gaya jo chehra pasand aaya yun to safar kiya hai kitne hi raston par lekin tere hi ghar ka rasta pasand aaya meri nigah mein hai teri talash baqi meri diwangi ko sahra pasand aaya be-shak nibha na pae wada kiya jo tum ne lekin sanam tumhaara wada pasand aaya uthti hai is liye bhi teri taraf nigahen tere hasin rukh par chashma pasand aaya ghusse mein lag rahi ho tum aur khub-surat dil ko bahut tumhaara nakhra pasand aaya kuchh aur dekhne ki hasrat rahi na baqi jab se sanam tumhaara chehra pasand aaya ho jaegi mukammal ab to ghazal yaqin hai tere hasin labon ka misra pasand aaya be-shak bahut shikayat tujh ko hai is jahan se phir bhi 'ahad' ye tera lahja pasand aaya