jo kaha tha tumhein suna bhi tha aazmana nahin kaha bhi tha mera milna nahin hua lekin main to apni taraf gaya bhi tha ishq hota hai manta hun main mujh ko ek bar ye hua bhi tha ye saza jo bhugat rahe ho tum kya haqiqat mein kuchh kiya bhi tha mere marne ka kya hua matlab us ka matlab ki main jiya bhi tha tum to zinda ho ab talak pyare zahr ko thik se piya bhi tha