jo kho chuke hain wo manzar talash karti hun bikhar gae hain jo paikar talash karti hun kabhi talash jo karna ho apna aap mujhe to us ki zat ke andar talash karti hun bichhad gai hun main us se magar nahin bichhdi jo band us ne kiye dar talash karti hun kabhi jo had se guzar jae dukh to hansti hun khushi nahin jo mayassar talash karti hun qarib rah ke bhi karti rahi thi qurb talash main chahaton ke hi zewar talash karti hun ye aarzu hai sanam ko qarib-tar dekhun so regzar mein patthar talash karti hun karungi us ka tawaf umr bhar main bas 'shahin' ab apna markaz-o-mehwar talash karti hun