jo mai-kade se bhi daman bacha bacha ke chale

jo mai-kade se bhi daman bacha bacha ke chale
teri gali se jo guzre to ladkhada ke chale

hamein bhi qissa-e-dar-o-rasan se nisbat hai
faqih-e-shahr se kah do nazar mila ke chale

koi to jaane ki guzri hai dil pe kya jab bhi
khizan ke bagh mein jhonke khunuk hawa ke chale

ab e'tiraf-e-jafa aur kis tarah hoga
ki teri bazm mein qisse meri wafa ke chale

hazar hont mile hon to kya fasana-e-dil
sunane wale nigahon se bhi suna ke chale

kahin suragh-e-chaman mil hi jaega 'rahat'
chalo udhar ko jidhar qafile saba ke chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close