jo mere tangna-e-dil mein tujh ko jalwa-gar dekha meri nazron ne hairat se mujhi ko umr bhar dekha tasawwur ki hadon mein bhi samana jin ka mushkil tha nazar walon ne un jalwon ko ta-hadd-e-nazar dekha sab apne dil mein ek tir-e-nazar mahsus karte hain magar koi bata sakta nahin us ne kidhar dekha tayyun bar-taraf maqsud mujh ko sajda karna tha na hum ne rahguzar dekhi na hum ne sang-e-dar dekha nazar aata na tha jo gard-e-afkar-o-hawadis mein wo sahil aankh ne tufan-e-gham mein dub kar dekha tumhaare sang-e-dar ko sang-e-dar main kis tarah samjhun ki jab sajda kiya sar ko jabin-e-arsh par dekha ajab manzil thi ai 'simab' apni manzil-e-hasti na mauqa tha thaharne ka na yara-e-safar dekha