jo musht-e-khak ho us khak-dan ki baat karo zamin pe rah ke na tum aasman ki baat karo kasi ki tabish-e-rukhsar ka kaho qissa kisi ke gesu-e-ambar-fishan ki baat karo nahin hua jo tulua aaftab to filhaal qamar ka zikr karo kahkashan ki baat karo rahega mashghala-e-yaad-e-raftagan kab tak guzar raha hai jo us karwan ki baat karo yahi jahan hai hangama-zar-e-sud-o-ziyan yahin ke sud yahin ke ziyan ki baat karo ab is chaman mein na sayyaad hai na hai gulchin karo to ab sitam-e-baghban ki baat karo